Wednesday, September 14, 2011

SPARKING LIFE: हिंदी दिवस...........

SPARKING LIFE: हिंदी दिवस...........

हिंदी दिवस...........

हिंदी है पहचान हमारी......
 आधुनिक युग की दहलीज पर जैसे जैसे हमारे कदम आगे बढ़ते जा रहे है, वैसे वैसे हम अपने अस्तित्व से धूमिल होते जा रहे है, कहते है हर देश की पहचान उसके नागरिक और उसके आचरण से होती है, लेकिन व्यवहार, संस्कृति यह सब दुनिया के सामने किस माध्यम या तरीके से प्रस्तुत होती है, उसे हम भाषा कहते है, हमारी मात्रभाषा हिंदी है, और हमें इस पर गर्व है, लेकिन क्या हम अपनी हिंदी भाषा के साथ न्याय कर पा रहे है, क्योकि जहा तक मुझे लगता है, की आज के इस तकनीकी युग ने हमारे सोचने, लिखने और बोलने में जितना कमांड अपने हाथ में ले लिया है, उसी का रूप आज हम प्रयोग कर रहे है, मोबाइल और इन्टरनेट यह वो माध्यम है, जिन्होंने हिंदी के विस्तृत रूप को बदल कर एस एम एस में तब्दील कर दी है, आज हिंदी दिवस है और अगर हम अपनी मात्रभाषा से प्यार करते है, तो हम कसम खाते है की हम हिंदी शुद्ध बोलेग़े, पढ़ेगे, और सुनेगे , इसके लिए हमे चाहे कितनी मेहनत क्यों न करनी पड़े......................

Monday, February 7, 2011

SAADA JEEVAN UCCH VICHAR........

Mujhe aaj bahut garv mahsush hota hai, ki mein ek aese desh ki vasi hu jaha par saada jeevan aur ucch vichar jaise moral life value Hume sikhne ko mili aur apne jeevan mein utarne ka bhi mauka mila.Zindagi ki itni badi sihk hume dene wale aur koi nahi hamare rashtriya pita MOHAN DAS KARAMCHAND GANDHI JI hai, jinhone hame yeh mool mantra sikhaya hai.Aaj bhale hi duniya unko ek mahan puruss ke roop mein dekhte hai aur manti hai, lekin mere nazaro mein Gandhi ji ki chavi hamesha zindagi ho apne nazariye se jeene wale insaan ke roop mein hai. Aaj unko duniya ki sabse powerful personality ke roop mein log salute karte hai aur kehte hai ki-GANDHI JI JAISE INSAAN DUNIYA KO AAHINSA KA LESSON PADHA GAYE HAI AUR HUME APNI ZINDAGI KO JEENE KA EK ALAG NAZARIYA DEKHLA GAYE HAI.   

Thursday, February 3, 2011

....BOL HAALA BOL...

BY THE PEOPLE, OF THE PEOPLE, FOR THE PEOPLE......yahi ek loktantrik desh ki pehchan hoti hai, aur agar janta KO apna hak Na mila to VO Jan aandolan par utar aate hai. Aesa hi kuch MISR desh ki janta kar rahe hai, pure vishva mein tahlaka SA mach Gaya hai. Iski wajah kya thi, isse to waha ki janta ne bata diya, ki ab hamara desh LOKTANTRA banega.warna hum pradarsan karne se nahi chukege. Sayad MISR ki GOVERNMENT ye bhul Gaye thi ki janta ki buland awaaz, buland desh ki awaaz hoti hai.MISR ki janta ne Jo kiya ussko dekhte hue CHINA jaisa desh bhi daar Gaya hai ki kahi usski janta bhi na aese aandolan par utar aaye. Sayad humne apne jeevan kal mein kisi bhi desh ki janta ko LOKTANTRA ke leye itna vishal pradarsan karte nahi dekha.Lekin mein is baat se khush hu ki jis desh mein mera janam hua waha humara raaz hai, INDIA IS A DEMOCRATIC COUNTRY.lekin ye baat to sabit ho gayi hai ki MISR ki janta ka yeh aandolan bekar nahi jayega aur aane wale samay mein isska result hame jaldi dekhne ko milega.

Tum kaun ho...Main main hu....

Hum apni zindagi ki shuruat ek sapne se karte hai aur jeevan ki raho mein aage badhte badhte sapno ka ekjahan basa lete hai.agar hamari raah kathinayio se gujri ho aur hume apni manzil pane mein apni kismat se ladna pada ho,tab sayad hum apne wajood se ladkar apni ek alag pehchan banana mein vishwas rakhte hai,agar hamara wohi vishwas ahankkar mein badal jaye to sayyad hamare apne hamara saath chod kar hamse dur chale jayege.yeh satya hai, kyoki ghamand se is duniya mein apni pehchan kayam nahi kar sakte.COLORS channel ke naye show “MUKTI BANDHAN” ketan desai ke novel par adharit serial mein ek aese insaan se hamara samaj rubaru hota hai jo kehta hai I M VIRANI, matlab main main hu....tum kaun ho